tadpen kab tak teri furqat mein mohabbat wale aa idhar bhi kabhi o naz-o-nazakat wale shaikh-o-waiz hon na kis tarah karamat wale hazrat-e-pir-e-mughan ki hain ye sohbat wale kab tak izaen sahen teri mohabbat wale rahm kar rahm kar o zulm ki aadat wale shaikh rindon ko bura kah ke gunahgar na ban are kambakht yahi log hain jannat wale dekh ja aa ke ki ab naza ki haalat hai meri itni taklif kar ai meri nazakat wale mujh se aasi ko jo mahshar mein mila bagh-e-bahisht rah gae dekh ke munh zohd-o-ibaadat wale teri furqat mein tadapta hai mera dil kaisa dekh aa kar kabhi o sakht tabiat wale jhum kar aane to de abr-e-siyah ai saqi abhi aa jaenge maikhane ki sohbat wale dil to kya jaan fida kar den tere qadmon par aashiqon mein tere aise bhi hain himmat wale chikh uthe aate hi masjid mein janab-e-waiz chaunk uthte hain yun hi khwab se ghaflat wale koi karta hai mai-e-ishq ko jaez koi mana dekhen kya hukm lagate hain shariat wale sohbat-e-mai mein bhi milta nahin waiz ko maza aise dekhe hi nahin khushk tabiat wale rah gaya chup hi sawalon pe nakirain ke main sun chuka tha ki farishte hain ye jannat wale kal se hai wada-e-wasl aaj na kah yaad nahin is qadar bhul na o bhul ki aadat wale qabr se uth ke qayamat mein wahin pahunchenge hauz-e-kausar hi pe dam lenge tere matwale mayyat-e-ashiq-e-shaida hai uthana lazim itna nazuk na ban o mere nazakat wale munfail ho ke hue pursish-e-isyan se bari sab se achchhe rahe mahshar mein nadamat wale hum kahen kya ki hamein kuchh nahin aata hai 'fahim' naz karte hain tabiat pe tabiat wale