Tahni Tahni se KHun jari hai

By ali-armanNovember 8, 2021
tahni tahni se khun jari hai
hum ne aise khizan guzari hai
aisa lagta hai nili jhilon ki
teri aankhon se rishta-dari hai


main hun shagird is liye us ka
ishq sab se bada madari hai
khwab dekha ki ek shajar hun main
aur tere hath mein ek aari hai


meri taswir ki taraf dekho
jis ne ro ro ke shab guzari hai
ek chanta pada to jaanoge
waqt ka hath kitna bhaari hai


ruh ko de ke nind ki goli
sair us ke badan ki jari hai
main zara pani pi ke aata hun
teri qurbat bahut karari hai


har shikari ki tak mein bete
koi us se bada shikari hai
kaam ab wo charagh kar rahe hain
jo hawaon ki zimmedari hai


ek dhamaka hua hai cinema mein
mar gae log film jari hai
jaun sahib mere muamle mein
hijr mein bhi visal tari hai


ja rahe hain khuda se milne hum
ye zamin to bas ek sawari hai
dil hai teri judai mein jaise
koi haara hua juari hai


mar dala hai ek kamsin ne
hont halke hain bosa bhaari hai
aam hone laga hai thoda bahut
jo mera din-e-taza-kari hai


‘ali-arman' ko sanbhaal ke rakh
ye tera aakhiri pujari hai
60562 viewsghazalEnglish