
tairta mauj-e-hawa sa aasmanon mein kahin ek parinda gum hua unchi udanon mein kahin main haqiqat hun kisi kirdar mein mujh ko na dhaal log dohraen na mujh ko dastanon mein kahin raat chup hai ikka-dukka chappuon ke saz par git koi gunjta hai baadbanon mein kahin raat zakhmi ho rahi hai lamha lamha mere sath phadphadate hain parinde aashiyanon mein kahin fan ki masti dekhna bahar hisar-e-harf se sochna bahta hai dariya saebanon mein kahin raudna ghode ki tapon se mera baqi badan aur sar le ja ke phenk aana chatanon mein kahin log yakja kar rahe hain 'ramz' meri khak ko dekhna phir mujh ko mere qadr-danon mein kahin