tajalli tur ki har su ayan hai

By sabir-abuhariSeptember 30, 2023
tajalli tur ki har su ayan hai
magar zauq-e-kalimana kahan hai
yahi hai rahbari ai rahnumao
na manzil hai na manzil ka nishan hai


lahu rota hai jo auron ki khatir
haqiqat mein wahi dil shadman hai
ajab shai hai rabab-e-zindagi bhi
kabhi naghma kabhi aah-o-fughan hai


agar waqf-e-mohabbat ho to neamat
nahin to zindagi bar-e-garan hai
karishma hai ye teri be-rukhi ka
zamin dushman falak na-mehrban hai


khirad ki rah mein barg-e-gul-e-tar
junun ki rah mein sang-e-giran hai
sun ai bedad-gar begana-khu sun
ye khamoshi bhi ek tarz-e-fughan hai


munawwar hai bashar ka zehn lekin
harim-e-dil abhi zulmat-nishan hai
gulistan ki faza ab bhi na badli
wahi gulchin wahi barq-e-tapan hai


rihai qaid se bad-tar hai yani
dil-e-tair asir-e-ashiyan hai
mitane se kahan mitti hai 'sabir'
ye urdu 'mir'-o-'ghaalib' ki zaban hai


53547 viewsghazalEnglish