tark jis din se kiya humne shakebai ka

tark jis din se kiya hum ne shakebai ka
ja-ba-ja shahr mein charcha hua ruswai ka

ghair dagh-e-dil-e-sad-chaak na monis na rafiq
zor aalam pe hai aalam meri tanhai ka

pahron hi apne tain aap hun bhula rahta
dhyan aata hai jab apne mujhe harjai ka

zalzala gor mein majnun ki pada rahta hai
apna ye shor hai ab baadiya-paimai ka

jalwa us ka hai har ek ghar mein basan-e-khurshid
farq hai apni faqat aah ye binai ka

kalma-e-haq bhi dam-e-naza na nikla munh se
shaikh ko dhyan tha aisa but-e-tarsai ka

kashish-e-nala use kahte hain ab wo jo 'surur'
mahw-e-nazzara hua apne tamashai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close