tark ki jaegi muddat ki rifaqat kaise

tark ki jaegi muddat ki rifaqat kaise
chhod degi mujhe tu ai shab-e-furqat kaise

un se pursish hai mere khun ki nadamat mujhe hai
munh par ab dal lun daman-e-qayamat kaise

roz ek taza sitam roz nai ek jafa
kahte ho lab pe tere aai shikayat kaise

khana-e-dil se kabhi us ne nikale nahin panw
marte dam niklegi dekhun meri hasrat kaise

josh par hain wo umangen hain jawani ki hai mauj
dekh kar un ko na lahrae tabiat kaise

zikr-e-tariki-e-qabr aaya ki ye yaad aai
bhule dil se shab-e-furqat ki musibat kaise

chaal uda li hai jo teri to falak par hai dimagh
naz ushshaq se karti hai qayamat kaise

apni nadari pe kyon dagh lagae tu ne
te pe rakh chhode hain do nuqte ye usrat kaise

zabh ke waqt bhi munh mujh se wo phere hi rahe
dekh leta hai kisi ki koi surat kaise

shauq phir mujh ko madine ka hua ai 'akbar'
dekhiye hoti hai rauze ki ziyarat kaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close