tere aanchal ko dhani likh raha hun
By ishraque-aziziNovember 1, 2020
tere aanchal ko dhani likh raha hun
tujhe main raat-rani likh raha hun
ye dard-e-dil ye aansu zakhm sare
kisi ki mehrbani likh raha hun
hai mere zehn mein jis ka tasawwur
use pariyon ki rani likh raha hun
kisi ko lan-tarani lag rahi hain
jo baaten khush-bayani likh raha hun
tere lab mere lab ke ma-hasal hain
tere sadqe jawani likh raha hun
hawa ko bhi kabhi main kat dunga
abhi pani pe pani likh raha hun
jalal-ud-ddin-akbar se na kahna
mohabbat ki kahani likh raha hun
jise kahti hai duniya naukrani
use mahlon ki rani likh raha hun
adab se baithiye khamosh rahiye
buzurgon ki nishani likh raha hun
jise 'ishraq' jo karna hai kar le
main is duniya ko fani likh raha hun
tujhe main raat-rani likh raha hun
ye dard-e-dil ye aansu zakhm sare
kisi ki mehrbani likh raha hun
hai mere zehn mein jis ka tasawwur
use pariyon ki rani likh raha hun
kisi ko lan-tarani lag rahi hain
jo baaten khush-bayani likh raha hun
tere lab mere lab ke ma-hasal hain
tere sadqe jawani likh raha hun
hawa ko bhi kabhi main kat dunga
abhi pani pe pani likh raha hun
jalal-ud-ddin-akbar se na kahna
mohabbat ki kahani likh raha hun
jise kahti hai duniya naukrani
use mahlon ki rani likh raha hun
adab se baithiye khamosh rahiye
buzurgon ki nishani likh raha hun
jise 'ishraq' jo karna hai kar le
main is duniya ko fani likh raha hun
37795 viewsghazal • English