tere aane ke hain jo aasare sone nahin dete
By irshad-qamar-bukhariNovember 1, 2020
tere aane ke hain jo aasare sone nahin dete
hamein khush-fahmiyon ke silsile sone nahin dete
mohabbat se hamein tu ne palat kar kyon nahin dekha
teri badli nazar ke zawiye sone nahin dete
wo rahta bewafa lekin nazar ke samne rahta
nazar se dur hai to fasle sone nahin dete
na jaane khauf ki parchhaiyan kaisi musallat hain
ki andeshon ke hum ko azhdahe sone nahin dete
sarae mein thahar kar bhi hamein to jagna hoga
rawana hone wale qafile sone nahin dete
har aahat pe guman hota hai tere laut aane ka
nahin hai aas lekin hausle sone nahin dete
'qamar' main raat bhar jagun to hai is mein tajjub kya
chamakne ke taqaze hi mujhe sone nahin dete

63275 viewsghazal • English