tere aasman se azab kyun nahin TuTta

tere aasman se azab kyun nahin tutta
meri nind aur mera khwab kyun nahin tutta

tera zikr karta hun subh-o-sham namaz mein
ye tilism-e-ajr-o-sawab kyun nahin tutta

mere khadd-o-khal bikharte kyun nahin rah mein
tere aaine ka sarab kyun nahin tutta

tere lafz lafz ki muntazir hain samaaten
lab-e-husn tera hijab kyun nahin tutta

kade mausamon ka hadaf hun main to 'qamar-raza'
meri shakh par se gulab kyun nahin tutta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close