tere hote hue mahfil mein jalate hain charagh

By ahmad-farazOctober 23, 2020
tere hote hue mahfil mein jalate hain charagh
log kya sada hain suraj ko dikhate hain charagh
apni mahrumi ke ehsas se sharminda hain
khud nahin rakhte to auron ke bujhate hain charagh


bastiyan dur hui jati hain rafta rafta
dam-ba-dam aankhon se chhupte chale jate hain charagh
kya khabar un ko ki daman bhi bhadak uthte hain
jo zamane ki hawaon se bachate hain charagh


go siyah-bakht hain hum log pe raushan hai zamir
khud andhere mein hain duniya ko dikhate hain charagh
bastiyan chand sitaron ki basane walo
kurra-e-arz pe bujhte chale jate hain charagh


aise bedard hue hum bhi ki ab gulshan par
barq girti hai to zindan mein jalate hain charagh
aisi tarikiyan aankhon mein basi hain ki 'faraaz'
raat to raat hai hum din ko jalate hain charagh


94001 viewsghazalEnglish