tere iltifat ki baat thi teri be-ruKHi ke gile na the

tere iltifat ki baat thi teri be-rukhi ke gile na the
tujhe shayad us ki khabar to ho ki hamare hont sile na the

kisi ahl-e-dard se pochhiye zara is chaman ka moamla
wo chaman ki fasl-e-bahaar mein bhi jahan pe phul khile na the

ye rah-e-talab ki masafaten kahin khar hai kahin dar hai
sar-e-ku-e-yar khade the yun ki qadam hamare hile na the

bhala arz-e-gham se guzar ke bhi kabhi tum se koi gila kiya
ye junun-e-ishq ke tazkire to meri wafa ke sile na the

jo adu ko bazm hui to kya wo kuchh is tarah hain gurez-pa
kisi rah mein kisi mod par kabhi jaise hum se mile na the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close