tere jalal se khurshid ko zawal hua tere jamal se mahtab ko kamal hua khiram-e-naz mein un ko ye kab khayal hua ki dil kisi ka pisa koi paemal hua shabab se teri rangat ka turfa haal hua sapid joda jo pahna badan mein lal hua jo wasl-e-yar ki tadbir ki visal hua khayal aish ka aaya to ek malal hua hilal badar hua badar se hilal hua yahan kamal kisi ka na be-zawal hua hazaron saikdon paida hue hue napaid na ek dam bhi zamane ko e'tidal hua raqib qatl hua us ki tegh-e-abru se haram-zada tha achchha hua halal hua buton ka zulm kisi ne suna na mahshar mein khuda se bhi mera jhagda na infisal hua kiye hain khun se kisi ke ye dast-o-pa rangin shikar taza koi aaj kya halal hua jalaya mujh ko to tujh ko bhi lag gaya dhabba jigar pe dagh mere rukh pe tere khal hua jo main junun mein gaya su-e-dasht ai 'agha' to mujh ko dekh ke diwana har ghazal hua