tere ye jaan-nisar-o-talab-gar dekh kar

By havi-momin-abadiMarch 1, 2021
tere ye jaan-nisar-o-talab-gar dekh kar
hairan hun ek anar sau bimar dekh kar
gul phul aab aab hue kal chaman ke bich
gul ke hamare aatishin rukhsar dekh kar


sidra sarw sanobar-o-tuba khade khade
sar-gashta hain chaman mein qad-e-yar dekh kar
pairon mein dil-zadon ke na chubh jaen ustukhwan
is rah se guzar ho to sarkar dekh kar


hasrat gale se aur lagane ki badh gai
nazuk se hath mein tere talwar dekh kar
ya jism-o-jaan mein aah wo taqat nahin rahi
ya dar gaya hun waqt ki raftar dekh kar


ifrit-khana sa hua juz ghar tere pari
rahta hai dar sa ab dar-o-diwar dekh kar
'hawi' hamari jaan mein kuchh jaan aa gai
maqtal mein apne khas wafadar dekh kar


49927 viewsghazalEnglish