teri aarzu teri justuju mujhe raat din yahi kaam hai
By shaad-fidai-dehalviJune 17, 2022
teri aarzu teri justuju mujhe raat din yahi kaam hai
mere dil mein teri hi yaad hai mere lab pe tera hi nam hai
main bhatak raha hun idhar udhar kabhi is nagar kabhi us nagar
mujhe dhadkanon se pata chala mere dil mein tera maqam hai
tumhein kya bataun ata-pata mera gardishon se hai wasta
ki main ek khana-kharab hun kahin subh hai kahin sham hai
jo nahin hai waqt ka ham-safar use subh-o-sham ki kya khabar
ho kisi ka waqt pe kya asar bhala waqt kis ka ghulam hai
hue kya tumhaare wo qahqahe wo gale lagana tapak se
wo khinche khinche se ho aaj kyon na salam hai na payam hai
koi tujh ko pahunchega kya bhala koi tera hita karega kya
jo guman-o-waham se dur hai wo maqam tera maqam hai
ye tilism hai nae daur ka koi imtiyaz karega kya
kahan 'shad' sajda rawa rakhen kahan sar jhukana haram hai

14844 viewsghazal • English