teri jafa hui ki jahan ka ghazab hua

teri jafa hui ki jahan ka ghazab hua
hum par to jo sitam bhi hua be-sabab hua

is saat-e-said ko kya nam dijiye
insan asir-e-waqt ke zindan mein jab hua

shoala-sifat hain raqs mein apne chaman ke phul
is aalam-e-bahaar mein ye kya ghazab hua

shayad yahi mazaq-e-talab ki hai intiha
duniya-e-rang-o-bu mein bhi dil be-talab hua

munsif ko maslahat ki zaban ras aa gai
go faisla hua magar insaf kab hua

us ko nasib ho na saka rishta-e-khulus
jo qail-e-qaziya-e-hasab-o-nasab hua

jari hai ek tirgi-o-raushni ki jang
jab se shuur-e-silsila-e-roz-o-shab hua

had-e-nigah tak kahin shoale kahin dhuan
ye khak-o-khun ka khel gulistan mein kab hua

is hadse pe aap ka jo tabsira bhi ho
main aashna-e-mahfil-e-aish-o-tarab hua

kaise ho tum ko lazzat-e-azad jaan-nasib
dushwar marhalon se guzarna hi kab hua

kitne azim log tah-e-khak ho gae
tu bhi hua jo 'lais' to phir kya ajab hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close