teri koshish hum ai dil sai-e-la-hasil samajhte hain

By aziz-lakhnaviOctober 28, 2020
teri koshish hum ai dil sai-e-la-hasil samajhte hain
sar-e-manzil tujhe begana-e-manzil samajhte hain
usul-e-zindagi jaan-dada-e-qatil samajhte hain
na sar ko sar samajhte hain na dil ko dil samajhte hain


ghariq-e-bahr-e-ulfat aashna-e-qulzum-e-mani
jahan par dub kar ubhren use sahil samajhte hain
dayar-e-ishq ke sakin zamin par panw kya rakkhen
yahan ke zarre zarre ko jab apna dil samajhte hain


karen kya un se shikwa jo kisi ke dil jalane ko
farogh-e-garmi-e-hangama-e-mahfil samajhte hain
jhukana aastan par sar koi mushkil nahin lekin
jabin-e-bandagi ko hum kab is qabil samajhte hain


shikasta-dil liye ye soch kar is bazm se nikla
shikayat kijiye un se jo dil ko dil samajhte hain
ye dil hazir hai bismillah wo kholen girah is ki
agar aasan hall-e-uqda-e-mushkil samajhte hain


lab-e-fariyaad agar kholun to kya hangama barpa ho
khamoshi ko meri jab guftugu-e-dil samajhte hain
wo khalwat ho ki jalwat ho tajalli ho ki tariki
jahan tum ho usi ko hum bhari mahfil samajhte hain


irada ho to dil mazbut kar ai dubne wale
jab aisa waqt ho dhaare ko bhi sahil samajhte hain
dam-e-akhir ruka hai ek aansu dida-e-tar mein
isi ko hasti-e-nakaam ka hasil samajhte hain


wafa ki had dikha kar jalne wale dil khuda-hafiz
tujhe bhi ek charagh-e-kushta-e-manzil samajhte hain
mita dala mujhe phir bhi ye hai bedad ki hasrat
abhi fehrist-e-maujudat mein shamil samajhte hain


mera tarz-e-suluk is rah ke rah-rau na samjhenge
magar jo rahbar rah-e-haq-o-baatil samajhte hain
nisar-e-dost hai ye motiyon ka be-baha mala
har ek aansu ko hum tuta hua ek dil samajhte hain


jinhen malum hai teri nigah-e-naz ka aalam
wo apne zabt ke dawon ko khud baatil samajhte hain
'aziz' afkar-e-duniya aur mashaghil sher-goi ke
ahibba ki mohabbat hai jo is qabil samajhte hain


38368 viewsghazalEnglish