teri talKHi ko chakhun ya tere husn-e-maani ko
By faisal-azeemOctober 30, 2020
teri talkhi ko chakhun ya tere husn-e-maani ko
kitab-e-zindagi kis ne likha meri kahani ko
to sar-ta-pa koi fitna bhi hai shahkar-e-fitrat bhi
magar main zindagi ke nam kar aaya jawani ko
ye kirnen phutti hain jo tere chaak-e-gareban se
unhi ke nur se likkha gaya meri kahani ko
ye kab jaana kisi ne ai mujassam raaz tu kya hai
ki fitrat ne koi marmar tarasha gul-fishani ko
kahin zakhmi sadaen hain kahin naghme mohabbat ke
tu kis ki samt moda jae ab ke zindagani ko

30890 viewsghazal • English