tujhe dil se utara hi nahin tha

By munir-anwarNovember 9, 2020
tujhe dil se utara hi nahin tha
ki tere bin guzara hi nahin tha
hamein bhi zindagi mushkil lagi thi
ye aalam bas tumhaara hi nahin tha


palat ke aa bhi sakta tha wo lekin
use hum ne pukara hi nahin tha
tere lahje mein tabdili che mani
teri jaanib ishaara hi nahin tha


use ilzam dharna tha kisi par
ki koi aur chaara hi nahin tha
ye sadma yun bhi mushkil hai ki pahle
kabhi main khud se haara hi nahin tha


kate hain wo bhi lamhe zindagi se
jinhen hum ne guzara hi nahin tha
bahut aasan ho sakti thin rahen
hamein chalna gawara hi nahin tha


mohabbat par ye waqt aana tha 'anwar'
koi sadqa utara hi nahin tha
50583 viewsghazalEnglish