tum mere KHwab-e-pareshan ka asar dekho to

By nafees-ahmad-saharJanuary 22, 2022
tum mere khwab-e-pareshan ka asar dekho to
muzmahil sara gulistan hai idhar dekho to
lab-o-ariz ki qasam jalwa-e-raqsan ki qasam
kis qadar shokh hai wo rashk-e-qamar dekho to


shiddat-e-tishna-labi mein dar-e-mai-khana par
rakh diya phir kisi majbur ne sar dekho to
talkhiyan bhul ke jazbaat pe qabu rakh kar
tum khuda ke liye ek bar idhar dekho to


kya sitam is se ziyaada koi ho sakta hai
mausam-e-gul mein kate hain mere par dekho to
jis se gumrah zamane ko ziya milti hai
ilm-o-irfan-o-hidayat ka wo dar dekho to


sab pareshan hain yahan kaun kahe un se 'sahar'
tum gharibon ko kabhi ek nazar dekho to
81662 viewsghazalEnglish