tumko chhoDa to aisa laga jaise KHud se alag ho gae
By aadarsh-dubeyOctober 22, 2020
tum ko chhoda to aisa laga jaise khud se alag ho gae
ek manzil ko jate hue apne raste alag ho gae
bas isi baat se gham-zada bas isi baat ka dukh hamein
dusron se yun milte hue mere apne alag ho gae
kuchh siyasat se tode gae kuchh ko sazish ne bahka diya
ek man ke hain jae sabhi aaj kitne alag ho gae
raat ki samt dekho nahin nind us din se aai nahin
jab se walid ke hi samne us ke bete alag ho gae
bas yahi haal hoga tera bas yahi haal hoga mera
jaise ek ped ki shakh se us ke patte alag ho gae

77198 viewsghazal • English