ulfat na karunga ab kisi ki

By rind-lakhnaviNovember 14, 2020
ulfat na karunga ab kisi ki
dushman hua jis se dosti ki
haalat kahun apni be-khudi ki
dil de ke suno jo mere ji ki


awwal awwal bhalaiyan kin
aakhir aakhir bahut buri ki
masruf hai sina-kubi mein dil
aati hai sada dhada-dhadi ki


ulfat pe teri khatma hai
ab le le qasam tu aashiqi ki
karte rahe ikhtiraa aaphi
taqlid na ki kabhi kisi ki


rone pe mere hanste hain aap
hans lijiye baat hai hansi ki
kyunkar na farefta ho insan
tan hur ka shakl hai pari ki


shirin-dahno nahin hai zeba
tum baaten karo na phiki phiki
diwana hua hun ek pari ka
taqsir ye hai to waqai ki


be-yar hai dil kabab-e-saqi
taklif na kar tu mai-kashi ki
aankhen ladin tujh se main hua qatl
in turkon ne jang-e-zargari ki


karne do badi jo karte hain ghair
sunta nahin 'rind' wo kisi ki
66582 viewsghazalEnglish