un ke jaur-e-behad ko bhi KHamoshi se sahta hun

un ke jaur-e-behad ko bhi khamoshi se sahta hun
jaane kin mauhum ummidon ki rau mein main bahta hun

tum kya jaano in baaton se tum to dur hi rahte ho
main jo baaten tanhai mein dil se karta rahta hun

aaj tumhaare pas hun lekin tum ko koi qadr nahin
kal tum khud sab se puchhoge main kis desh mein rahta hun

zulf-e-hasti ko suljhana aaj ke daur ka mansha hai
main bechaara ishq ke jhagdon hi mein khoya rahta hun

kal thin ghair ki kadwi baaten aaj tumhaare charche hain
kal bhi sab kuchh sahta tha main aaj bhi sab kuchh sahta hun

mere andar ka zakhmi dil apna dard sunata hai
aur zamane par ye zahir hai main bhi kuchh kahta hun

farsh-nashin ko arsh-nashini se 'sarwar' kya nisbat hai
lekin main aise hi khwabon ke chakkar mein rahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close