un se mila to phir main kisi ka nahin raha aur jab bichhad gaya to khud apna nahin raha diwar tutne ka ajab silsila chala sayon ke sar pe ab koi saya nahin raha har ek makan se nam ki takhti utar gai dil ki fasil pe koi pahra nahin raha rahbar badal gae kabhi rahzan badal gae aur ham-safar bhi koi purana nahin raha ab us ke husn mein wo karishme nahin rahe tali to baj rahi hai tamasha nahin raha shayad pados mein kahin bijli giri hai aaj dekho hamare ghar mein andhera nahin raha dimak lagi hui hai salibon pe shad ab rasm-e-junun nibahane wala nahin raha