us nazar ki sharab pita hun

By sheri-bhopaliNovember 21, 2020
us nazar ki sharab pita hun
baada-e-kaamyab pita hun
parda-dari-e-nazm-e-kun ki khair
aaj main be-hijab pita hun


jhum jate hain arsh o kausar o khuld
jhum kar jab sharab pita hun
rahmaten be-hisab hoti hain
main jahan be-hisab pita hun


sada
sada-nigahon ke nisar
halki halki sharab pita hun
uf ye mera jalal-e-baada-kashi


ghol kar aaftab pita hun
zabt aur zabt-e-mustaqil 'sheri'
thandi thandi sharab pita hun
11777 viewsghazalEnglish