uski nahin KHudai ki us ka KHuda nahin

By afqar-mohaniOctober 23, 2020
us ki nahin khudai ki us ka khuda nahin
tum jis ko mil gae use phir kya mila nahin
sajde se sar uthane ko ji chahta nahin
ab ya to hum nahin dar-e-dildar ya nahin


ek paikar-e-khayal ki allah re mahwiyat
main khud bhi ab nigah mein apni raha nahin
mahshar nisar us nigah-e-sharmsar par
kahna pada khuda se ye qatil mera nahin


wo tinke jab uthae jala dale barq ne
gulshan mein aashiyan kabhi apna bana nahin
hadd-e-nigah kab teri rifat ko pa sake
jalwa tera muqayyad-e-arz-o-sama nahin


darkar hai nigah-e-karam warna ai karim
mere liye khazana-e-qudrat mein kya nahin
nazren juda juda hain khayalat mukhtalif
meri nazar se koi nahin dekhta nahin


ek waqfa-e-hayat hai duniya hai jis ka nam
itni si kaenat ko main chahta nahin
is e'tina ki dad bhi ai be-niyaz-e-khalq
mera sar-e-niyaz kahin par jhuka nahin


andaza-e-jamal ba-qadr-e-nigah hai
chashm-e-kalim jalwa-taraaz-e-ada nahin
tu hi bata ki jae kahan tujh ko chhod kar
'afqar' tera gada hai kisi ka gada nahin


45389 viewsghazalEnglish