us ne afshan jo chuni raat ko tanha ho kar aasman tut pada mujh pe sitara ho kar bhauken mahlon pe na munim sag-e-duniya ho kar haddiyan qabr mein rah jaengi chuna ho kar wo jale tan hon mere par bhi jo mitti mein milun gard-baad uthne lagin aag-bagula ho kar mai-kashi mein jo hua chashm-e-khumari ka khayal rah gaya jam hatheli ka phaphola ho kar 'shad' ye ishq-e-zanakhdan mein hai dil dalun dol kud padta hun main har chah mein andha ho kar