utha na parda-e-hairat rukh-e-nihan se abhi mere yaqin ko fursat nahin guman se abhi na khol mujh pe pur-asrar zulmaton ke tilism bahal rahi hai nazar mah-o-kahkashan se abhi suna na zamzama-e-ruh-e-kaenat mujhe ki aa rahi hai sada mere saz-e-jaan se abhi abhi se de na mujhe manzil-e-adam ka suragh guzar raha hun main hasti ke imtihan se abhi dikha na khwab kisi aalam-e-digar ke mujhe ki mera dil nahin farigh isi jahan se abhi na kar haqiqat-e-hasti se aashna mujh ko ki rabt hai mujhe is wahm-e-raegan se abhi bana raha hun zamin par sanam-kade apne sadaen de na mujhe baam-e-asman se abhi maqam-e-hosh bhi meri nazar mein hai lekin subu hai pur mera sahba-e-arghawan se abhi bhadak raha hai abhi shoala-e-nafas mera lapak rahe hain sharare meri zaban se abhi hai zarra zarra tapan dasht-e-arzu ka mere uthenge aur bagule bahut yahan se abhi fana qubul ho kyunkar mujhe ki rishta-e-dil bandha hua hai tamanna-e-jawidan se abhi