wahi hai dast-e-junun hamara badalta rahta hai go qarina

By ehsan-darbhangaviJuly 31, 2020
wahi hai dast-e-junun hamara badalta rahta hai go qarina
usi se daman ko chaak karna usi se daman ke chaak sina
khuda bachae to bach sakenge sawal ab nakhuda ka kya hai
kinara dur aur thake hain bazu ghira hai tufan hain safina


jahan nahin khun ki zarurat wahan ghalat naz-e-sarfaroshi
jo kisht-e-mehnat ko sinchta ho lahu se behtar hai wo pasina
ye saqf-e-dair-o-haram nahin hai ye aasman ishq ka hai is par
wahi musafir qadar uthae bana sake jo dilon ko zina


rida-e-zarrin-e-mehr-e-taban khala mein hai tar tar jab tak
imam ki dil ki dhadkanon se kahani banti rahin 'mubina'
uthi pilane ki rasm 'ehsan' to kyon na khali rahen pyale
khuda ki barakat hai mai-kade mein bhare hain kham aur bhara hai mina


64912 viewsghazalEnglish