wajh jine ki tumhaara sath hai

By uzma-iqbalMay 28, 2021
wajh jine ki tumhaara sath hai
zindagi goya tumhaare hath hai
meri badnami meri taqdir thi
log kahte hain tumhaara hath hai


jaante hain hum ki tum aise nahin
tod na dena bharam jo sath hai
moh lene ka ye fan jo tujh mein hai
meri ulfat ka bhi is mein hath hai


kya karen hum bas mein apne kuchh nahin
phir bhi jine ki tamanna sath hai
hasraten lakhon simat kar aa gain
ek mutthi dil jo apne sath hai


shakhsiyat apni bikhar sakti nahin
dosti ka aur wafa ka sath hai
surat-e-‘uzma’ jo badli si lagi
gardish-e-daur-e-zaman ka hath hai


84618 viewsghazalEnglish