waqt ki bazgasht se kab ye hua ki Dar gae
By asad-badayuniOctober 27, 2020
waqt ki bazgasht se kab ye hua ki dar gae
dard ki dhup dhal gai hijr ke din guzar gae
tez qadam nikal gae dhup ki sarhadon se dur
rah ki chhanw dekh kar sust qadam thahar gae
log bhi hain nae nae shahr bhi hain nae nae
baaten wo kho gain kahan raste wo sab kidhar gae
barish-e-rang-o-nur se jaan chaman mein pad gai
phul tamam khil uthe ped sabhi nikhar gae
le ke chale the narmiyan ghar se gulon ki subh ko
barg-e-khizan the sham jab laut ke apne ghar gae
hum ko hawa-e-waqt ne di hai shikast barha
sip ki tarah band the gul ki tarah bikhar gae
sher likhun to kis tarah nazm kahun to kyun bhala
meri zaban chhin gai hath mere katar gae
todna thin riwayaten modna thin hikayaten
log wo khud-pasand the hanste hue jo mar gae

26767 viewsghazal • English