waqt ne sab tahrir kiya mere KHadd-o-Khaal pe kya guzri

By aziz-qaisiSeptember 3, 2022
waqt ne sab tahrir kiya mere khadd-o-khal pe kya guzri
tere ba'd jo sath chale the un mah-o-sal pe kya guzri
dast-e-karam ne dad to pai dad-o-dahish ki mahfil mein
dast-e-karam ne ye nahin socha dast-e-sawal pe kya guzri


khun hai lafzon aawazon mein khamoshi mein lashen hain
maslahaton ke ahd mein dekho shahr-e-khayal pe kya guzri
nur-e-sahar mein nahane wale shab-asuda kyon sochen
jis ka lahu tha raunaq-e-shab us sham-e-jamal pe kya guzri


sab ki nigahen tum par hain kya puchhe koi aise mein
tum ko dekh ke jo gum-sum hai us behaal pe kya guzri
'qaisi' sahab basti-basti khote sikkon ka hai chalan
ye mat puchho ahl-e-hunar ke husn-e-kamal pe kya guzri


15558 viewsghazalEnglish