wo aaya to itna pyar dega

By nazeer-qaisarNovember 11, 2020
wo aaya to itna pyar dega
din bhar ki thakan utar dega
milta hai to hath chumta hai
wo shakhs to mujh ko mar dega


malum na tha wo meri khatir
jiti hui bazi haar dega
dekhenge use charagh aur main
wo apna libas utar dega


dekhega wo bas nazar utha ke
aaina use sanwar dega
likkhega wo lau main chehra 'qaisar'
kaghaz pe kiran utar dega


17136 viewsghazalEnglish