wo ba-zahir ayan nahin hota

By ameer-nehtauriNovember 15, 2021
wo ba-zahir ayan nahin hota
phir bhi sab se nihan nahin hota
wo agar mehrban nahin hota
ye mukammal jahan nahin hota


is hunar se wo zakhm dete hain
jin ka koi nishan nahin hota
khud se karta hun zikr mazi ka
jab koi ham-zaban nahin hota


phir se dega koi sada mujh ko
ab to ye bhi guman nahin hota
hai yaqinan koi kami apni
warna wo bad-guman nahin hota


darmiyan thi koi ana warna
main yahan wo wahan nahin hota
aazmaish hamari barson se
is tarah imtihan nahin hota


jin ke zehnon mein be-niyazi ho
un ka koi jahan nahin hota
96390 viewsghazalEnglish