wo be-hunar hun ki hai zindagi wabaal mujhe

wo be-hunar hun ki hai zindagi wabaal mujhe
kamal gar nahin deta to de zawal mujhe

wo bad-guman hua hun ki e'tibar utha
sadaqaton pe bhi kya kya hain ehtimal mujhe

main apne aap ko pahchanne se darta hun
tabah kar gai ye gard-e-mah-o-sal mujhe

ghazab hua teri yaadon ne sath chhod diya
hanuz meri mohabbat hai ek sawal mujhe

ye kya hua ki hawas ki giraft tang hui
main tujh se hath chhudane ko hun sambhaal mujhe

wo fasle hain ki aankhon mein khwab nachte hain
mili firaq mein bhi lazzat-e-visal mujhe

wo bewafa hai to is ka bhi gham bahut hai magar
main ba-wafa hun to is ka bhi hai malal mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close