wo harf-o-naqsh se Khaali kitab mangta hai

By mohammad-naim-jawed-naimFebruary 9, 2021
wo harf-o-naqsh se khali kitab mangta hai
sawal karta nahin hai jawab mangta hai
main sara sal hi rakhta hun apne zakhm hare
wo sara sal hi taza gulab mangta hai


main reza reza ise tut kar dikhata hun
wo lamhe lamhe ka mujh se hisab mangta hai
suna hai us ki mohabbat hai mawara-e-hayat
so sara shahar hi marne ke khwab mangta hai


wo is tarah bhi parakhta hai doston ka khulus
ki but hai mom ka aur aaftab mangta hai
har ek shakhs hai us ki karamaton ka asir
usi se hosh usi se sharab mangta hai


wo pahron ghurta rahta hai aainon ko 'naim'
jo kho chuka hai wo ahd-e-shabab mangta hai
92912 viewsghazalEnglish