wo hasrat-e-bahaar na tufan-e-zindagi

wo hasrat-e-bahaar na tufan-e-zindagi
aata hai phir rulane ko abr-e-bahaar kyun

aalam-o-gham ki tund hawadis ke waste
itna latif dil mere parwardigar kyun

jab zindagi ka maut se rishta hai munsalik
phir ham-nashin hai khatra-e-lail-o-nahaar kyun

jab rabt-o-zabt husn-e-mohabbat nahin raha
hai bar-e-dosh hasti-e-na-paedar kyun

rona mujhe khizan ka nahin kuchh magar 'shamim'
is ka gila hai aai chaman mein bahaar kyun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close