wo husn kya jo kisi dil ka muddaa na hua wo ishq kya jo mohabbat ki intiha na hua bachega kya koi un ki nazar ke tiron se nishana un ki nazar ka kabhi khata na hua koi payam na hum nama-bar ko de pae salam kahte hi fil-faur wo rawana hua hamara zikr pahunchte hi un ki mahfil mein zamane bhar ki zaban par chadha fasana hua khuda ke bande hi bandon pe zulm karte hain khuda ka shukr hai banda abhi khuda na hua tere huzur pahunch kar bhi sab rahe mahrum kisi ko hausla-e-arz-e-muddaa na hua buton ki yaad mein 'azam' basar hui apni khuda ki yaad ka farz ek din ada na hua