wo jab se ghaeb-e-manzar hua hai

By mahfooz-mohammadSeptember 23, 2023
wo jab se ghaeb-e-manzar hua hai
meri aankhon ko sakta ho gaya hai
wo dawat kar raha hai dushmanon ki
mere dil mein phaphola ho gaya hai


adawat kar rahi hai chaplusi
mohabbat ko shubah sa ho gaya hai
samaat muntazir laila ye kah de
mujhe tum par bharosa ho gaya hai


khizar ki hamsari ke dawe wale
tujhe marne ka khadsha ho gaya hai
99650 viewsghazalEnglish