wo musibat mein bhi lachaar nahin ho sakta
By husain-khan-danishJanuary 14, 2022
wo musibat mein bhi lachaar nahin ho sakta
hausla ret ki diwar nahin ho sakta
main koi jugnu nahin hun jo pakad mein aaun
main to jhonka hun giraftar nahin ho sakta
jo hai mujrim use suli pe chadha do lekin
har musalman to ghaddar nahin ho sakta
sone chandi ke taraazu mein na tolo mujh ko
main kabhi bikne ko tayyar nahin ho sakta
main ne aaine ki tarikh padhi hai yaro
jhut ka wo to taraf-dar nahin ho sakta
main ne sachchai pe sajde mein kata di gardan
mera sajda kabhi bekar nahin ho sakta
aise darpok safine ko jala dun 'danish'
dar ke maujon se jo us par nahin ho sakta

95865 viewsghazal • English