wo samundar se sada deta hai
By naseem-ajmalSeptember 27, 2023
wo samundar se sada deta hai
aag pani mein laga deta hai
dhundhne wala use aath pahar
be-karani ki sada deta hai
har qadam besh hai wo naqsh-e-qadam
paon imkan ke hila deta hai
kya tamasha hai mera zauq-e-numu
chutkiyon mein jo uda deta hai
dasht-e-aflak ke sab sang-o-shajar
meri rahon mein saja deta hai
dur ufuq par mere dil ke liye
ek taswir bana deta hai
kitna khwahan hai chaman-rezi ka
mutthiyon-bhar jo hawa deta hai
khauf deta hai mujhe waqt-e-dua
kis ta'alluq ka sila deta hai
mujh ko ludhka ke pahadon se kahin
qahqaha ek laga deta hai
phir bula kar wo mujhe hashr ke din
faisla apna suna deta hai
aag pani mein laga deta hai
dhundhne wala use aath pahar
be-karani ki sada deta hai
har qadam besh hai wo naqsh-e-qadam
paon imkan ke hila deta hai
kya tamasha hai mera zauq-e-numu
chutkiyon mein jo uda deta hai
dasht-e-aflak ke sab sang-o-shajar
meri rahon mein saja deta hai
dur ufuq par mere dil ke liye
ek taswir bana deta hai
kitna khwahan hai chaman-rezi ka
mutthiyon-bhar jo hawa deta hai
khauf deta hai mujhe waqt-e-dua
kis ta'alluq ka sila deta hai
mujh ko ludhka ke pahadon se kahin
qahqaha ek laga deta hai
phir bula kar wo mujhe hashr ke din
faisla apna suna deta hai
27001 viewsghazal • English