wo shaKHs aaj mujhko ek aaina dikha gaya
By danish-asariApril 3, 2022
wo shakhs aaj mujh ko ek aaina dikha gaya
talab ke bhi usul hain yahi mujhe bata gaya
ye qaede ki baat thi talab meri bhi shad ho
zara sa tha mutalba wo be-nuqat suna gaya
shaban-e-hijr mein mera jo ham-nafas bana raha
visal-rut jab aa gai wo mera aashna gaya
arab ke regzar mein chhupi hui bahaar thi
utha jab ek shakhs to gulab sab khila gaya
naya naya sa ahd hai nai nai riwayaten
kitab mein wo pankhudi ka silsila chala gaya
main ek dhundle aks ko lapak raha tha khwab mein
wo bachpane sa lag raha tha jo gaya gaya gaya
wo dard-ashna mera wo ham-nafas wo ham-nashin
zara si baat par mujhe hi ajnabi bana gaya
janab-e-'danish-asri’ aap sochna hi chhod den
kahin ruka nahin hai wo ba-hadd-e-intiha gaya

21029 viewsghazal • English