yaad hai wo pur-kaif zamana hae mohabbat hae jawani

yaad hai wo pur-kaif zamana hae mohabbat hae jawani
un ki kahani mera fasana hae mohabbat hae jawani

hijr mein un ke chain na pana raat ko aksar nind na aana
us pe sitam koyal ka tarana hae mohabbat hae jawani

naqsh hain dil par un ki jafaen ras na aain mujh ko wafaen
lut gaya sara dil ka khazana hae mohabbat hae jawani

husn ki aaraish ka wo manzar aaine mein aks-e-rukh-e-dilbar
dast-o-gareban kakul-o-shana hae mohabbat hae jawani

is mein base the rangin jalwe simin jalwe zarrin jalwe
dil tha mera ek aaina-khana hae mohabbat hae jawani

mera bulana un ka na aana un ka bulana mera na jaana
turfa-kashakash taza bahana hae mohabbat hae jawani

uf wo mere kashane mein aksar shab ko tera aana chhup-chhup kar
jam-ba-kaf aur zulf-ba-shana hae mohabbat hae jawani

kya kahen haal apne dil-o-jaan ka waqt-e-sahar wo shor azan ka
aur wo hona un ka rawana hae mohabbat hae jawani

guzri kahani yaad phir aai dil mein 'wali' ek huk si utthi
meri ghazal hai dil ka tarana hae mohabbat hae jawani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close