yar jab pesh-e-nazar hota hai

yar jab pesh-e-nazar hota hai
dil mera zer-o-zabar hota hai

ho khajil bagh mein gul aab hua
jab sin gul-ru ka guzar hota hai

dagh-e-dil kun mere nahin bahra-e-wasl
garche har gul kun samar hota hai

gard-e-gham dilbar-e-khush-chashm baghair
surma-e-chashm-e-jigar hota hai

dil liya nargis-e-sahir ne teri
sach ki jadu kun asar hota hai

tegh-e-abru sin teri khauf nahin
dil mera ja-e-sipar hota hai

shama-ru ki shab-e-hijran mein 'siraj'
aag gham dagh sharar hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close