yas kahti hai ujale se andhere ban ja
By krishna-mohanSeptember 23, 2023
yas kahti hai ujale se andhere ban ja
aas ka hukm hai chahat ka sawera ban ja
husn-e-pur-kaif se kar ram dil-e-ahl-e-zaman
gher le sara jahan zulf ka ghera ban ja
kya sitam hai ki mere sada-o-bekas dil ko
hawas-e-mal ka farman hai lutera ban ja
main ne kab tujh se kaha tark-e-tamanna kar ke
ai dil-e-zar kisi bhut ka dera ban ja
thamna hai tujhe ek dushman-e-bad-tinat ko
parcham-e-hind shuja'at ka pharera ban ja
be-niyazana guzar jada-e-rang-o-bu se
ai mere jazba-e-dil jog ka phera ban ja
zarb duniya pe laga kar ise tabe' kar le
is ka dil jit andhere mein sawera ban ja
zakhmi nagin ki tarah marti hai phan duniya
is se bachne ke liye ek sapera ban ja
machhliyan dhundte moti bhi mayassar honge
ghum dariyaon mein bebak machhera ban ja
'krishn-mohan' ke dukhi man sabhi bandhan taj kar
jis mein sukh-chain ho wo rain-basera ban ja

94119 viewsghazal • English