ye aur baat dur rahe manzilon se hum bach kar chale hamesha magar qafilon se hum hone ko phir shikar nai uljhanon se hum milte hain rose apne kai doston se hum barson fareb khate rahe dusron se hum apni samajh mein aae badi mushkilon se hum manzil ki hai talab to hamein sath le chalo waqif hain khub rah ki barikiyon se hum jin ke paron pe subh ki khushbu ke rang hain bachpan udhaar lae hain un titliyon se hum kuchh to hamare beach kabhi duriyan bhi hon tang aa gae hain rose ki nazdikiyon se hum guzren hamare ghar ki kisi rahguzar se wo parde hataen dekhen unhen khidkiyon se hum jab bhi kaha ki yaad hamari kahan unhen pakde gae hain thik tabhi hichkiyon se hum