ye bahaar wo hai jahan rahi asar-e-KHizan se bari rahi

By ilyas-ishqiOctober 31, 2020
ye bahaar wo hai jahan rahi asar-e-khizan se bari rahi
jo salib-o-dar mein dhal gai wahi chob-e-khushk hari rahi
mili jab kabhi khabar-e-jahan to jahan se be-khabari rahi
kisi aur se nahin kuchh gila khajil apni dida-wari rahi


wahi ek kharabi-e-be-karan jo tere jahan ka nasib hai
isi rust-o-khez se aaj tak mere dil mein be-khatari rahi
meri zindagi ki urus-e-nau tujhe is ki koi khabar bhi hai
wo thi kis ki surkhi-e-khun-e-dil teri mang mein jo bhari rahi


koi qarya koi dayar ho kahin hum akele nahin rahe
teri justuju mein jahan gae wahin sath dar-badari rahi
wahi aag apna nasib thi ki tamam umr jala kiye
jo lagai thi kabhi ishq ne wahi aag dil mein bhari rahi


wahi ek sadaqat-e-harf thi khili phul ban ke jo aag mein
wahi ek dalil-e-hayat thi jo gawah-e-ba-khabari rahi
na asar fusun koi kar saka na wo mere dil mein utar saka
koi aks hi na ubhar saka raha shisha aur na pari rahi


main halak-e-lazzat-e-guftugu hi sahi magar ise kya karun
jo faraaz-e-dar se ki gai wahi ek baat khari rahi
hunar aaj 'ishqi'-e-be-nawa ka khajil hai ruh-e-'siraj' se
wahi ek khalish jo mata-e-fan thi subut-e-be-hunari rahi


72913 viewsghazalEnglish