ye faqiri hai qanaat ke siwa kya jaane

By faheem-jogapuriOctober 29, 2020
ye faqiri hai qanaat ke siwa kya jaane
kaun kya de ke gaya dast-e-dua kya jaane
aag tan mein to laga lena koi khel hai kya
kitne majbur diye honge hawa kya jaane


us ko karna hai tah-e-khak so karti jae
kaun hai sim-badan mauj-e-bala kya jaane
wo to dariyaon ko sairab kiye jati hai
sukhe kheton ki zarurat ko ghata kya jaane


ashk aankhon mein bhare hon to nazara kaisa
kanpta hath koi band-e-qaba kya jaane
koi zinda na bache wo to yahi chahte hain
kitna sunta hai khudaon ka khuda kya jaane


us se pahle jo kabhi chumte phulon ko 'fahim'
kaun sa gham hai hamein baad-e-saba kya jaane
70073 viewsghazalEnglish