ye gul bhi zinat-e-aghosh-e-dariya-e-qaza nikle

ye gul bhi zinat-e-aghosh-e-dariya-e-qaza nikle
jinhen hum ba-wafa samjhe the wo bhi bewafa nikle

natija justuju-e-shauq ka kya jaane kya nikle
pas-e-parda ye mumkin hai wahi rangin-ada nikle

karishma hai ye sara ishq ka hi warna kab mumkin
lahu ke qatre qatre se anal-haq ki sada nikle

mata-e-zindagi aaram-e-jaan sabr-o-qarar-e-dil
khuda ki shan hai hum un ko kya samjhe wo kya nikle

hue majruh barg-e-gul inhin kharon se gulshan ke
chaman ke pasban hi bani-e-jaur-o-jafa nikle

maaz-allah ilzam apni barbaadi ka ghairon par
dubone wale kashti ke jab apne nakhuda nikle

karun kis ka gila kahte hue bhi sharm aati hai
raqib afsos apne hi purane aashna nikle

hamare baad wo aae ayaadat ko to kya aae
kisi ke is tarah nikle agar arman to kya nikle

bahut mushkil hai 'aish' is daur mein nikle koi hasrat
ye kya kam hai koi daman agar apna bacha nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close