ye jitni der hui shaiKH ko wuzu karte

By riyaz-khairabadiNovember 14, 2020
ye jitni der hui shaikh ko wuzu karte
hum utni der mein khali khum-o-subu karte
shikar bhi bat-e-mai ka kinar-e-ju karte
wahin namaz bhi padhte wahin wuzu karte


kalim baat badhate na guftugu karte
lab-e-khamosh se izhaar-e-arzu karte
hasin bhi hon khush-awaz bhi farishta-e-qabr
kati hai umr hasinon se guftugu karte


hamari bhul ka sagar ye gul agar bante
to aur rang se izhaar-e-rang-o-bu karte
giraate yunhi sar-e-tur bijliyan hum par
agar hijab tha parde se guftugu karte


ye dagh-e-mai hain bure phailte sar-e-daman
jo aab-e-zamzam-o-kausar se hum wuzu karte
hamein khuda ke siwa kuchh nazar nahin aata
nikal gae hain bahut dur justuju karte


padi hai khu-e-subuhi daraaz hai shab-e-gor
uthenge hashr ke din hum subu subu karte
masak gaya hai kisi ka zara sa daman-e-gul
jagah jagah se sisakta jo tum rafu karte


ba-qadr-e-zarf-e-wuzu mai jo milti pani si
siyah-ru bhi dam-e-hashr shust-o-shu karte
na tha shabab kamar mein 'riyaz' zar hota
to din budhape ke bhi nazr-e-lucknow karte


47644 viewsghazalEnglish