ye khwab mere kanch ke in ko hai bikharna o jugnu meri aankh ke kuchh der chamakna hun dhaar pe talwar ki zabt-e-fughan ka gham mumkin na ho jo chikhna to chhup ke sisakna dil rasta takta hai bahut der se us ka ai dhadkano tum aankhon ko hargiz na jhapakna